Tuesday, January 11, 2011

MUHABBAT KHUSH GUMA HAI

Tumhari angushtari ke nagg mein
Meri muhabbat chamak rahi hai
Agar kabhi ye guman guzre
Ke tumhein main bholne laga hoon
To is nageene ko dekh lena
Meri nigaho ki jagmagahat
Tumhari ankhon se ye kahe gi
"Suno Muhabbat To Khushguma Hai"
Agar koi bugz-e-dil ka mara
Nazar se toota hua sitara
Tumhare seene mein waswason ke
kaseele khanjar utarta ho
ke wo, jo dil phaink-o-bewafa hai
ke wo, jo sab pe farefta hai
ke wo, jo pardes ja basa hai
Tumhein bhanwar beech chor de ga
Wafa ke sab qaul toor de ga
To is se pehle ke roo paro tum
To is se pehle ke jal bojho tum
To is se pehle ke ye kaho tum
Wo ahd-o-peman sab ghalat they
Wafa ke unwaan sab ghalat they
Seher ke imkaan sab ghalat they
Tum apni angusht-e-dilruba per
Gulab Chehra Jhuka Ke Kehna
"Suno Wo Sach Much He Bewafai Hai?"
Tumhara rota sawal sun kar
Ye shokh nagg muskura pare ga
muhabbaton ke safeer ban ke
Ye surKh nagg aur haseen angoothi
Meri numaindagi karein ge
Tumhare chehre se chher karte
Tumhari ankhon ke rang parhte
Tumhare balon pe hath rakh ke
Tumhare galon ko thapthapa ke
Haseen angushtari kahe gi
"
Suno Muhabbat To Khushguma Hai"

BY: Khalil Ullah Farooqui

No comments:

Post a Comment